dil ko main be-qarar kaise karun
dil ko maiñ be-qarār kaise karūñ
yaar maiñ tujh se pyaar kaise karūñ
tujh se vā'de hazār kaise karūñ
'ishq meñ ḳhud ko ḳhvār kaise karūñ
'ishq meñ be-karāñ alam pā kar
'ishq phir ek baar kaise karūñ
terī ulfat meñ phir se kho kar maiñ
har 'amal dar-kinār kaise karūñ
be-vafā bā-vafā nahīñ hai tū
mukHlisoñ meñ shumār kaise karūñ
dam-e-āḳhir qarīñ rahegā tū
tujh pe maiñ e'tibār kaise karūñ
az sar-e-nau sukūn 'rahbar' kā
maiñ bhalā tār-tār kaise karūñ
dil ko main be-qarar kaise karun
yar main tujh se pyar kaise karun
tujh se wa'de hazar kaise karun
'ishq mein KHud ko KHwar kaise karun
'ishq mein be-karan alam pa kar
'ishq phir ek bar kaise karun
teri ulfat mein phir se kho kar main
har 'amal dar-kinar kaise karun
be-wafa ba-wafa nahin hai tu
mukHlison mein shumar kaise karun
dam-e-aKHir qarin rahega tu
tujh pe main e'tibar kaise karun
az sar-e-nau sukun 'rahbar' ka
main bhala tar-tar kaise karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.