aazad dilon ko kahan saman ki KHabar hai
āzād diloñ ko kahāñ sāmāñ kī ḳhabar hai
lañgar na ho dariyā meñ kise kaun ḳhatar hai
is ashk suuñ kab kise dil ko na ḳhatar hai
tūfān-e-talātum hai samundar kī lahar hai
be-garmī-e-dil puḳhta na ho fikr-e-yaqīñ hai
jo harf ki shīrīñ nahīñ vah ḳhaam samar hai
dandāñ kā tire shor magar bahr talak hai
siina meñ sadar hai na sadaf beach guhar hai
aazad dilon ko kahan saman ki KHabar hai
langar na ho dariya mein kise kaun KHatar hai
is ashk sun kab kise dil ko na KHatar hai
tufan-e-talatum hai samundar ki lahar hai
be-garmi-e-dil puKHta na ho fikr-e-yaqin hai
jo harf ki shirin nahin wah KHam samar hai
dandan ka tere shor magar bahr talak hai
sina mein sadar hai na sadaf beach guhar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.