Sufinama

ab kyā batāūñ maiñ tere milne se kyā milā

Seemab Akbarabadi

ab kyā batāūñ maiñ tere milne se kyā milā

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    ab kyā batā.ūñ maiñ tire milne se kyā milā

    irfān-e-ġham huā mujhe apnā patā milā

    jab duur tak na koī faqīr-āshnā milā

    terā niyāz-mand tire dar se milā

    manzil milī murād milī mudda.ā milā

    sab kuchh mujhe milā jo tirā naqsh-e-pā milā

    ḳhud-bīn-o-ḳhud-shanās milā ḳhud-numā milā

    insāñ ke bhes meñ mujhe aksar ḳhudā milā

    sargashta-e-jamāl hairāniyāñ na pūchh

    har zarre ke hijāb meñ ik aa.ina milā

    paayā tujhe hudūd-e-ta.ayyun se māvarā

    manzil se kuchh nikal ke tirā rāsta milā

    kyuuñ ye ḳhudā ke DhūñDne vaale haiñ nā-murād

    guzrā maiñ jab hudūd-e-ḳhudī se ḳhudā milā

    ye ek to ne.amat-e-insāñ-navāz thī

    dil mujh ko mill gayā to ḳhudā.ī ko kyā milā

    zaḳhm-e-dil ko chhīl ke siine se pheñk de

    e'tirāf kar ki nishān-e-vafā milā

    'sīmāb' ko shagufta na dekhā tamām umr

    kam-baḳht jab milā hameñ ġham-āshnā milā

    ab kyā batāūñ maiñ tere milne se kyā milā

    irfān-e-ġham huā mujhe apnā patā milā

    jab dur tak na koī faqīr-āshnā milā

    terā niyāz-mand tere dar se milā

    manzil milī murād milī muddaā milā

    sab kuchh mujhe milā jo tirā naqsh-e-pā milā

    ḳhud-bīn-o-ḳhud-shanās milā ḳhud-numā milā

    insāñ ke bhes meñ mujhe aksar ḳhudā milā

    sargashta-e-jamāl hairāniyāñ na pūchh

    har zarre ke hijāb meñ ek aaina milā

    payā tujhe hudūd-e-tayyun se māwarā

    manzil se kuchh nikal ke tirā rāsta milā

    kyuñ ye ḳhudā ke DhūñDne wale haiñ nā-murād

    guzrā maiñ jab hudūd-e-ḳhudī se ḳhudā milā

    ye ek to neamat-e-insāñ-nawāz thī

    dil mujh ko mill gayā to ḳhudāī ko kyā milā

    zaḳhm-e-dil ko chhīl ke sine se pheñk de

    e'tirāf kar ki nishān-e-wafā milā

    'sīmāb' ko shagufta na dekhā tamām umr

    kam-baḳht jab milā hameñ ġham-āshnā milā

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now