ab mulāqāt kahāñ shīshe se paimāne se
ab mulāqāt kahāñ shīshe se paimāne se
fātiha paḌh ke chale aa.e haiñ mai-ḳhāne se
kyā kareñ jām-o-subū haath pakaḌ lete haiñ
jī to kahtā hai ki uTh jā.iye mai-ḳhāne se
phūñk kar ham ne har ik gaam pe rakkhā hai qadam
āsmāñ phir bhī na baaz aayā sitam Dhāne se
ham ko jab aap bulāte haiñ chale aate haiñ
aap bhī to kabhī aa jā.iye bulvāne se
are o va.ada-farāmosh pahāḌ aisī raat
kyā kahūñ kaise kaTī tere nahīñ aane se
yaad rakh! vaqt ke andāz nahīñ badleñge
are allāh ke bande tire ghabrāne se
sar chaḌhā.eñ kabhī āñkhoñ se lagā.eñ saaqī
tere hāthoñ kī chhalak jaa.e jo paimāne se
ḳhālī rakkhī huī botal ye patā detī hai
ki abhī uTh ke gayā hai koī mai-ḳhāne se
aa.egī hashr kī nāseh kī samajh meñ kyā ḳhaak
jab samajhdār samajhte nahīñ samjhāne se
barq ke Dar se kaleje se lagā.e hue hai
chaar tinke jo uThā laa.ī hai vīrāne se
dil zarā bhī na pasījā but-e-kāfir terā
ka.aba allāh kā ghar ban gayā but-ḳhāne se
sham.a bechārī jo ik mūnis-e-tanhā.ī thī
bujh ga.ī vo bhī sar-e-shām havā aane se
ġhair kaahe ko suneñge tirā dukhḌā 'bismil'
un ko fursat kahāñ hai apnī ġhazal gaane se
ab mulāqāt kahāñ shīshe se paimāne se
fātiha paḌh ke chale aae haiñ mai-ḳhāne se
kyā kareñ jām-o-subū hath pakaḌ lete haiñ
jī to kahtā hai ki uTh jāiye mai-ḳhāne se
phūñk kar hum ne har ek gam pe rakkhā hai qadam
āsmāñ phir bhī na baz aayā sitam Dhāne se
hum ko jab aap bulāte haiñ chale aate haiñ
aap bhī to kabhī aa jāiye bulwāne se
are o wada-farāmosh pahāḌ aisī raat
kyā kahūñ kaise kaTī tere nahīñ aane se
yaad rakh! waqt ke andāz nahīñ badleñge
are allāh ke bande tere ghabrāne se
sar chaḌhāeñ kabhī āñkhoñ se lagāeñ saqī
tere hāthoñ kī chhalak jae jo paimāne se
ḳhālī rakkhī huī botal ye patā detī hai
ki abhī uTh ke gayā hai koī mai-ḳhāne se
aaegī hashr kī nāseh kī samajh meñ kyā ḳhak
jab samajhdār samajhte nahīñ samjhāne se
barq ke Dar se kaleje se lagāe hue hai
chaar tinke jo uThā laī hai wīrāne se
dil zarā bhī na pasījā but-e-kāfir terā
kaba allāh kā ghar ban gayā but-ḳhāne se
shama bechārī jo ek mūnis-e-tanhāī thī
bujh gaī wo bhī sar-e-shām hawā aane se
ġhair kahe ko suneñge tirā dukhḌā 'bismil'
un ko fursat kahāñ hai apnī ġhazal gane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.