Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ab tak mere ahwal se wan be-KHabari hai

Meer Muhammad Bedar

ab tak mere ahwal se wan be-KHabari hai

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    ab tak mire ahvāl se vaañ be-ḳhabarī hai

    ai nāla-e-jāñ-soz ye kiyā be-asarī hai

    yaañ tak to rasā quvvat be-bāl-o-parī hai

    pahuchūñ huuñ vahāñ terī jahāñ jalvagarī hai

    faulād-dilāñ chheriyo zinhār na mujh ko

    chhānī mirī joñ sulag sharāroñ se bharī hai

    ho jāvai hai us saf-e-mizhgāñ se muqābil

    is dil ko mire dekhiyo kiyā be-jigarī hai

    kis baaġh se aatī hai batā mujh ko ki phir aaj

    kuchh aur tujh meñ nasīm-e-saharī hai

    terā talab-gār hai dil donoñ-jahāñ maiñ

    ne huur juuyā hai ne mushtāq-e-parī hai

    hai aur kuchh āb-o-havā shahr-e-adam

    har shaḳhs jo 'bedār' udhar ko safarī hai

    ab tak mere ahwal se wan be-KHabari hai

    ai nala-e-jaan-soz ye kiya be-asari hai

    yan tak to rasa quwwat be-baal-o-pari hai

    pahuchun hun wahan teri jahan jalwagari hai

    faulad-dilan chheriyo zinhaar na mujh ko

    chhani meri jon sulag shararon se bhari hai

    ho jawai hai us ki saf-e-mizhgan se muqabil

    is dil ko mere dekhiyo kiya be-jigari hai

    kis bagh se aati hai bata mujh ko ki phir aaj

    kuchh aur hi bu tujh mein nasim-e-sahari hai

    tera hi talab-gar hai dil donon-jahan main

    ne hur ka juya hai ne mushtaq-e-pari hai

    hai aur hi kuchh aab-o-hawa shahr-e-adam ki

    har shaKHs jo 'bedar' udhar ko safari hai

    Source :
    • Book : Diwan-e-Bedar edited: Jalil Ahmad Qidwai (Pg. 95)
    • Author : Meer Mohammad 'Bedar'
    • Publication : Hindustani Academy, Allahabad (1937)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now