nahin hai ye chamak barq-e-tapan ki
nahīñ hai ye chamak barq-e-tapāñ kī
tajallī hai kisī dāġh-e-nihāñ kī
yahāñ ḳhud dāġh-e-dil hai rashk-e-gulshan
havas kis ko hai sair-e-gulistāñ kī
tire dar kī gadā.ī maiñ na chhoḌūñ
mile go bādshāhī do-jahāñ kī
maiñ nā-vāqif thā rāh-e-āshiqī se
ye aafat aa paḌī mujh par kahāñ kī
sahe 'āzād' kab tak sadma-e-ġham
judā.ī meñ hai naubat ab to jaañ kī
nahin hai ye chamak barq-e-tapan ki
tajalli hai kisi dagh-e-nihan ki
yahan KHud dagh-e-dil hai rashk-e-gulshan
hawas kis ko hai sair-e-gulistan ki
tere dar ki gadai main na chhoDun
mile go baadshahi do-jahan ki
main na-waqif tha rah-e-ashiqi se
ye aafat aa paDi mujh par kahan ki
sahe 'azad' kab tak sadma-e-gham
judai mein hai naubat ab to jaan ki
- Book : Sukhanwaraan-e-Watan (Pg. 41)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.