hai manzil-e-ulfat mein kahan farq-e-maraatib
hai manzil-e-ulfat meñ kahāñ farq-e-marātib
bas ek hī maslak hai yahāñ shāh-o-gadā kā
ġhairoñ se to be-bāk haiñ 'ushshāq se parda
andāz nirālā ye nikālā hai hayā kā
kyuuñ nāla-e-pur-soz hai lab par tire 'āzād'
kyā tū bhī banā taḳhta-e-mashq ahl-e-jafā kā
hai manzil-e-ulfat mein kahan farq-e-maraatib
bas ek hi maslak hai yahan shah-o-gada ka
ghairon se to be-bak hain 'ushshaq se parda
andaz nirala ye nikala hai haya ka
kyun nala-e-pur-soz hai lab par tere 'azad'
kya tu bhi bana taKHta-e-mashq ahl-e-jafa ka
- Book : Sukhanwaraan-e-Watan (Pg. 41)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.