be-sabab girya-o-buka kyun hai
be-sabab giryā-o-bukā kyuuñ hai
har ghaḌī lab pe yā ḳhudā kyuuñ hai
the azal se hī tum to hijr nasīb
shikva-e-āh-e-nā-rasā kyuuñ hai
ḳhāk-e-vahshat agar nahīñ chhānī
chehra phir gard meñ aTā kyuuñ hai
jab giraftār-e-zulf honā thā
naam 'āzād' phir rakhā kyuuñ hai
be-sabab girya-o-buka kyun hai
har ghaDi lab pe ya KHuda kyun hai
the azal se hi tum to hijr nasib
shikwa-e-ah-e-na-rasa kyun hai
KHak-e-wahshat agar nahin chhani
chehra phir gard mein aTa kyun hai
jab giraftar-e-zulf hona tha
nam 'azad' phir rakha kyun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.