jis taraf dekhiye wo jalwa-numa hota hai

jis taraf dekhiye wo jalwa-numa hota hai
Abdul Ghafoor Sambhali
MORE BYAbdul Ghafoor Sambhali
jis taraf dekhiye vo jalva-numā hotā hai
nahīñ mā'lūm mohabbat meñ ye kyā hotā hai
yaad aatā hai mujhe shādī-e-paiham kā maal
sar-e-mahfil jo koī naġhma-sarā hotā hai
ḳhud to hote nahīñ āsār junūñ ke paidā
terā andāz har ik hosh-rubā hotā hai
aaj tak mulk-e-'adam kā na musāfir lauTā
kis se poñchhūñ ki tirī bazm meñ kyā hotā hai
saḳhtiyoñ se ġham-e-ulfat kī guzarne vaale
nāla-e-dil baḌī mushkil se rasā hotā hai
'umr bhar ham ne jise naaz se paalā thā 'ġhafūr'
ab vo duzdīda nigāhoñ pe fidā hotā hai
jis taraf dekhiye wo jalwa-numa hota hai
nahin ma'lum mohabbat mein ye kya hota hai
yaad aata hai mujhe shadi-e-paiham ka mal
sar-e-mahfil jo koi naghma-sara hota hai
KHud to hote nahin aasar junun ke paida
tera andaz har ek hosh-ruba hota hai
aaj tak mulk-e-'adam ka na musafir lauTa
kis se ponchhun ki teri bazm mein kya hota hai
saKHtiyon se gham-e-ulfat ki guzarne wale
nala-e-dil baDi mushkil se rasa hota hai
'umr bhar hum ne jise naz se pala tha 'ghafur'
ab wo duzdida nigahon pe fida hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.