kabhi itni zahmat to farmaiyega
kabhī itnī zahmat to farmā.iyegā
kahīñ se mujhe DhūñDh kar lā.iyegā
mirā haal ab kuchh tavajjoh-talab hai
mire haal par ġhaur farmā.iyegā
baḌā saḳht hai rāsta zindagī kā
zarā do-qadam aap bhī ā.iyegā
havādis kī rū ḳhud bhī ik hādisa hai
havādis kī rū se na ghabrā.iye gā
bas ab aane vaalī hai rut zindagī kī
kisī din achānak chale ā.iyegā
zarā maiñ bhī tā'zīm-e-mausam karūñgā
zarā aap bhī shauq farmā.iyegā
kabhi itni zahmat to farmaiyega
kahin se mujhe DhunDh kar laiyega
mera haal ab kuchh tawajjoh-talab hai
mere haal par ghaur farmaiyega
baDa saKHt hai rasta zindagi ka
zara do-qadam aap bhi aaiyega
hawadis ki ru KHud bhi ek hadisa hai
hawadis ki ru se na ghabraiye ga
bas ab aane wali hai rut zindagi ki
kisi din achanak chale aaiyega
zara main bhi ta'zim-e-mausam karunga
zara aap bhi shauq farmaiyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.