KHirad ki intiha hai aur main hun
ḳhirad kī intihā hai aur maiñ huuñ
junūñ kī ibtidā hai aur maiñ huuñ
'ajab rūThā huā sāthī milā hai
dil-e-be-mudda'ā hai aur maiñ huuñ
koī laġhzish na ho jaa.e achānak
tirā band-e-qabā hai aur maiñ huuñ
zamāna darmiyāñ se haT gayā hai
jamāl-e-āshnā hai aur maiñ huuñ
KHirad ki intiha hai aur main hun
junun ki ibtida hai aur main hun
'ajab ruTha hua sathi mila hai
dil-e-be-mudda'a hai aur main hun
koi laghzish na ho jae achanak
tera band-e-qaba hai aur main hun
zamana darmiyan se haT gaya hai
jamal-e-ashna hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.