nashat-e-dil hai ya taskin-e-jaan hai
nashāt-e-dil hai yā taskīn-e-jāñ hai
mirī har shai barā-e-dostāñ hai
yahāñ iḳhlās bhī ik maslahat hai
ye duniyā ’ālam-e-sūd-o-ziyāñ hai
samā'at ko zarā taklīf diije
sukūt-e-lāla-o-gul naġhma-ḳhvāñ hai
hayāt-e-jāvedāñ kyā chiiz hogī
hayāt 'ārzī bhī jāvedāñ hai
'amal aur soch meñ hai farq kitnā
kināra chup hai aur dariyā ravāñ hai
'adam' hastī ke ujḌe gulistāñ meñ
mohabbat hī bahār-e-be-ḳhizāñ hai
nashat-e-dil hai ya taskin-e-jaan hai
meri har shai bara-e-dostan hai
yahan iKHlas bhi ek maslahat hai
ye duniya ’alam-e-sud-o-ziyan hai
sama'at ko zara taklif dije
sukut-e-lala-o-gul naghma-KHwan hai
hayat-e-jawedan kya chiz hogi
hayat 'arzi bhi jawedan hai
'amal aur soch mein hai farq kitna
kinara chup hai aur dariya rawan hai
'adam' hasti ke ujDe gulistan mein
mohabbat hi bahaar-e-be-KHizan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.