nazar usne jab barmala Dal di
nazar us ne jab barmalā Daal dī
mirī zindagī kī binā Daal dī
fazā is qadar to gulābī na thī
ye kis gul-badan ne hinā Daal dī
maiñ mamnūn huuñ ai ġham-e-zindagī
mire jaam meñ chiiz kyā Daal dī
mire haath meñ ḳhatt-e-dil kī jagah
mohabbat ne rasm-e-vafā Daal dī
'adam' kis nigāh-e-kHush-āhañg ne
shikasta diloñ meñ sadā Daal dī
nazar us ne jab barmala Dal di
meri zindagi ki bina Dal di
faza is qadar to gulabi na thi
ye kis gul-badan ne hina Dal di
main mamnun hun ai gham-e-zindagi
mere jam mein chiz kya Dal di
mere hath mein KHatt-e-dil ki jagah
mohabbat ne rasm-e-wafa Dal di
'adam' kis nigah-e-kHush-ahang ne
shikasta dilon mein sada Dal di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.