ek hikayat tharra uThi ek fasana jag uTha
ek hikāyat tharrā uThī ek fasāna jaag uThā
us ne jidhar ko hañs kar dekhā hairat-kHāna jaag uThā
mere junūñ ne chup sādhī thī us kī nazar phir hañsne lagī
ik dīvāna soyā hī thā ik dīvāna jaag uThā
ek ghaTā lahrā ke uThī us sabr-shikan kaifīyat se
be-nīyat sī nīyat meñ ik garm bahāna jaag uThā
raat bahut be-vaqt 'adam' ham jā nikle mai-ḳhāne ko
phir bhī bhārī dastak sun kar ik paimāna jaag uThā
ek hikayat tharra uThi ek fasana jag uTha
us ne jidhar ko hans kar dekha hairat-kHana jag uTha
mere junun ne chup sadhi thi us ki nazar phir hansne lagi
ek diwana soya hi tha ek diwana jag uTha
ek ghaTa lahra ke uThi us sabr-shikan kaifiyat se
be-niyat si niyat mein ek garm bahana jag uTha
raat bahut be-waqt 'adam' hum ja nikle mai-KHane ko
phir bhi bhaari dastak sun kar ek paimana jag uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.