nahin lutf saqi kisi baat mein
nahīñ lutf saaqī kisī baat meñ
mujhe ġharq kar de ḳharābāt meñ
har ik baat kā faisla ho gayā
mohabbat kī pahlī mulāqāt meñ
abhī tak ḳharābāt gardish meñ hai
vo dhūmeñ machā.eñ haiñ barsāt meñ
baḌī talḳhiyāñ mol lenī paḌīñ
baḌe mai-kade the ḳhayālāt meñ
'adam' ittifāq aur itnā hasīñ
mulāqāt aur chāñdnī raat meñ
nahin lutf saqi kisi baat mein
mujhe gharq kar de KHarabaat mein
har ek baat ka faisla ho gaya
mohabbat ki pahli mulaqat mein
abhi tak KHarabaat gardish mein hai
wo dhumen machaen hain barsat mein
baDi talKHiyan mol leni paDin
baDe mai-kade the KHayalat mein
'adam' ittifaq aur itna hasin
mulaqat aur chandni raat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.