are mai-gusaro sawere-sawere
are mai-gusāro savere-savere
ḳharābāt ke gard phere pe phere
baḌī raushnī baḳhshte haiñ nazar ko
tire gesuoñ ke muqaddas añdhere
kisī din udhar se guzar kar to dekho
baḌī raunaqeñ haiñ faqīroñ ke Dere
ye kyā saa.e se uTh rahe haiñ ufuq se
gulābī gulābī ghanere ghanere
ġham-e-zindagī ko 'adam' saath lekar
kahāñ jā rahe ho savere-savere
are mai-gusaro sawere-sawere
KHarabaat ke gard phere pe phere
baDi raushni baKHshte hain nazar ko
tere gesuon ke muqaddas andhere
kisi din udhar se guzar kar to dekho
baDi raunaqen hain faqiron ke Dere
ye kya sae se uTh rahe hain ufuq se
gulabi gulabi ghanere ghanere
gham-e-zindagi ko 'adam' sath lekar
kahan ja rahe ho sawere-sawere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.