Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

but yanh milte nahi hain ya KHuda milta nahin

Abdul Lateef Shauq

but yanh milte nahi hain ya KHuda milta nahin

Abdul Lateef Shauq

MORE BYAbdul Lateef Shauq

    but yañh milte nahii. haiñ ḳhudā miltā nahīñ

    azm mustahkam to ho duniyā meñ kyā miltā nahīñ

    ham-safīrān-e-junūñ yuuñ ham se aage baḌh ga.e

    qāfila kyā hai ġhubār-e-qāfila miltā nahīñ

    apnī sūrat dekhnā ho apne dil meñ dekhiye

    dil duniyā meñ koī bhī ā.īna miltā nahīñ

    de diyā hai aap ko dil ab hifāzat kījiye

    har khzāne meñ ye la.al-e-be-bahā miltā nahīñ

    DhūñDhtā phirtā hai mujh ko kyuuñ fareb-e-rañg-o-bū

    maiñ vahāñ huuñ ḳhud jahāñ apnā patā miltā nahīñ

    but yanh milte nahi hain ya KHuda milta nahin

    azm mustahkam to ho duniya mein kya milta nahin

    ham-safiran-e-junun yun hum se aage baDh gae

    qafila kya hai ghubar-e-qafila milta nahin

    apni surat dekhna ho apne dil mein dekhiye

    dil sa duniya mein koi bhi aaina milta nahin

    de diya hai aap ko dil ab hifazat kijiye

    har khzane mein ye lal-e-be-baha milta nahin

    DhunDhta phirta hai mujh ko kyun fareb-e-rang-o-bu

    main wahan hun KHud jahan apna pata milta nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now