dar se guzra kya diwana diwane ke baad
daar se guzrā kyā dīvāna dīvāne ke ba.ad
dosto bantā gayā afsāna afsāne ke ba.ad
ek chhoTī sī tajallī aur itnī pur-kashish
jal ga.ī āḳhir har ik parvāna parvāne ke ba.ad
umr bhar josh-e-junūñ detā rahā paiġhām-e-shauq
ham sajāte hī rahe parvāna parvāne ke ba.ad
likh diyā thā tinke chunñā kātib-e-taqdīr ne
ham banāte hī rahe kāshāna kāshāne ke ba.ad
jām-e-mai to jaam hai zahr-e-qātil bhī ai 'shauq'
piine vaale pī ga.e paimāna paimāne ke ba.ad
dar se guzra kya diwana diwane ke baad
dosto banta gaya afsana afsane ke baad
ek chhoTi si tajalli aur itni pur-kashish
jal gai aaKHir har ek parwana parwane ke baad
umr bhar josh-e-junun deta raha paigham-e-shauq
hum sajate hi rahe parwana parwane ke baad
likh diya tha tinke chunna katib-e-taqdir ne
hum banate hi rahe kashana kashane ke baad
jam-e-mai to jam hai zahr-e-qatil bhi ai 'shauq'
pine wale pi gae paimana paimane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.