jab nigah-e-talab moatabar ho gai
jab nigāh-e-talab mo'atabar ho ga.ī
manzil-e-shauq dushvār-tar ho ga.ī
sā.at-e-ġham bhī kyā muḳhtasar ho ga.ī
terī yaad aa.ī thī ki sahar ho ga.ī
har haqīqat ḳhud apnī ḳhabar ho ga.ī
bid'at-e-rañg sarf-e-nazar ho ga.ī
raat mahfil meñ vo be-naqāb aa.e the
aur ham ne ye samjhā sahar ho ga.ī
apne pindār kī laash Dhote rahe
zindagī apnī us meñ basar ho ga.ī
ā.īne se palaTtī rahī har kiran
har nazar apnī hī parda-dar ho ga.ī
koī ilzām jalvoñ pe aayā nahīñ
bebasī aañkh kī mushtahar ho ga.ī
vo jo aa.e to sailāb-e-nūr aa gayā
raushnī ḳhud hī sadd-e-nazar ho ga.ī
chāra-sāzī na kī haif nazroñ hī ne
ham ne samjhā du'ā be-asar ho ga.ī
haa.e phir terī bātoñ meñ dil aa gayā
phir fusūñ-sāz terī nazar ho ga.ī
apne ’ijz-e-nazar kā bharam khul gayā
be-hijābī tirī dīda-var ho ga.ī
'tarzī' qadmoñ ke badle jabīneñ mileñ
nārasī qismat-e-sang-e-dar ho ga.ī
jab nigah-e-talab mo'atabar ho gai
manzil-e-shauq dushwar-tar ho gai
saat-e-gham bhi kya muKHtasar ho gai
teri yaad aai thi ki sahar ho gai
har haqiqat KHud apni KHabar ho gai
bid'at-e-rang sarf-e-nazar ho gai
raat mahfil mein wo be-naqab aae the
aur hum ne ye samjha sahar ho gai
apne pindar ki lash Dhote rahe
zindagi apni us mein basar ho gai
aaine se palaTti rahi har kiran
har nazar apni hi parda-dar ho gai
koi ilzam jalwon pe aaya nahin
bebasi aankh ki mushtahar ho gai
wo jo aae to sailab-e-nur aa gaya
raushni KHud hi sadd-e-nazar ho gai
chaara-sazi na ki haif nazron hi ne
hum ne samjha du'a be-asar ho gai
hae phir teri baaton mein dil aa gaya
phir fusun-saz teri nazar ho gai
apne ’ijz-e-nazar ka bharam khul gaya
be-hijabi teri dida-war ho gai
'tarzi' qadmon ke badle jabinen milen
narasi qismat-e-sang-e-dar ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.