mohabbat mein bhi ab sud-o-ziyan tak baat aa pahunchi
mohabbat mein bhi ab sud-o-ziyan tak baat aa pahunchi
Abdul Mannan Tarzi
MORE BYAbdul Mannan Tarzi
mohabbat meñ bhī ab sūd-o-ziyāñ tak baat aa pahuñchī
kahāñ kī baat thī lekin kahāñ tak baat aa pahuñchī
tahammul kī mire kyā daad tum ab bhī nahīñ doge
ki josh-e-zabt se ashk-e-ravāñ tak baat aa pahuñchī
kabhī dekhā thā mahfil meñ nigāh-e-lutf se us ne
qiyāmat hai ki logoñ kī zabāñ tak baat aa pahuñchī
ḳhud apne ashkoñ ne rusvā kiyā mujh ko sar-e-mahfil
dayār-e-dostāñ se dushmanāñ tak baat aa pahuñchī
ye farsūda ġhazal ahl-e-suḳhan kī bazm meñ 'tarzī'
magar dil kī ḳhalish thī aur bayāñ tak baat aa pahuñchī
mohabbat mein bhi ab sud-o-ziyan tak baat aa pahunchi
kahan ki baat thi lekin kahan tak baat aa pahunchi
tahammul ki mere kya dad tum ab bhi nahin doge
ki josh-e-zabt se ashk-e-rawan tak baat aa pahunchi
kabhi dekha tha mahfil mein nigah-e-lutf se us ne
qiyamat hai ki logon ki zaban tak baat aa pahunchi
KHud apne ashkon ne ruswa kiya mujh ko sar-e-mahfil
dayar-e-dostan se dushmanan tak baat aa pahunchi
ye farsuda ghazal ahl-e-suKHan ki bazm mein 'tarzi'
magar dil ki KHalish thi aur bayan tak baat aa pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.