kahan dam-e-zulf bichha nahin wo kaun jo ki phansa nahin

kahan dam-e-zulf bichha nahin wo kaun jo ki phansa nahin
Abdul Raheem Kunjpuri
MORE BYAbdul Raheem Kunjpuri
kahāñ dām-e-zulf bichhā nahīñ vo kaun jo ki phañsā nahīñ
koī shaḳhs us se bachā nahīñ paḌe jis ke sar pe balā nahīñ
tab hijr kā hai maraz mujhe jo masīh aa.e to kyā kare
ki baġhair sharbat-e-vasl ke mire dard-e-dil kī davā nahīñ
vo jo jaur karatā hai be-sabab kahūñ kis se koī sunegā kab
paḌā sābiqa mujhe us se ab jise kuchh ḳhauf-e-ḳhudā nahīñ
nahīñ mānegā terā kahā tū 'abas hai sar ko phirā rahā
ki baġhair 'ishq kī nāsehā zindagī kā mazā nahīñ
hai 'abas shikāyat dil-rubā nahīñ 'rahīm' us kī zarā ḳhatā
vo hai kaun aisā hasīñ-dilā ki hai jis meñ jaur-o-jafā nahīñ
kahan dam-e-zulf bichha nahin wo kaun jo ki phansa nahin
koi shaKHs us se bacha nahin paDe jis ke sar pe bala nahin
tab hijr ka hai maraz mujhe jo masih aae to kya kare
ki baghair sharbat-e-wasl ke mere dard-e-dil ki dawa nahin
wo jo jaur karata hai be-sabab kahun kis se koi sunega kab
paDa sabiqa mujhe us se ab jise kuchh KHauf-e-KHuda nahin
nahin manega tera kaha tu 'abas hai sar ko phira raha
ki baghair 'ishq ki naseha zindagi ka maza nahin
hai 'abas shikayat dil-ruba nahin 'rahim' us ki zara KHata
wo hai kaun aisa hasin-dila ki hai jis mein jaur-o-jafa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.