toko bataun kaise sakhi ri murshid ki anokhi batiyan
toko bataun kaise sakhi ri murshid ki anokhi batiyan
Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
toko batā.ūñ kaise sakhī rī murshid kī anokhī batiyāñ
Daale Daaka luuTe tan-man ghā.il kare nayan se chhatiyāñ
man bhī churāyo tan bhī churāyo luuT liyo morā dīn-o-dharam bhī
ab maiñ jānat nāhūñ haram ko murshid piyā ke paḌūñ huuñ payyāñ
jaako koī pakḌe to kaise kaam karat hai nazar na aa.e
chupke chupke sendh lagāve din hove yā añdherī ratiyāñ
toko batā.ūñ sun re sakhī rī murshid piyā kī sūrat kis kī
yahī hai sūrat sher-e-ḳhudā kī bāñkī chitvan kaarī añkhiyāñ
murshid piyā ko jo na maiñ dekhūñ chain na aa.e pal-bhar moko
dekh ke jā kā sundar mukhḌā bhaa.e na mohe kisī kī batiyāñ
man mandir meñ jo haiñ birāje an-dātā hai jo hī ḳhudā hai
jab maiñ kahat huuñ ye sakhiyoñ se moko pāgal kahat haiñ sakhiyāñ
ab abhilāshā koī na aashā murshid kī 'kāvish' maiñ divānī
sovarg mubārak panDit-jī ko moko pyārī piyā kī galiyāñ
toko bataun kaise sakhi ri murshid ki anokhi batiyan
Dale Daka luTe tan-man ghail kare nayan se chhatiyan
man bhi churayo tan bhi churayo luT liyo mora din-o-dharam bhi
ab main jaanat nahun haram ko murshid piya ke paDun hun payyan
jako koi pakDe to kaise kaam karat hai nazar na aae
chupke chupke sendh lagawe din howe ya andheri ratiyan
toko bataun sun re sakhi ri murshid piya ki surat kis ki
yahi hai surat sher-e-KHuda ki banki chitwan kari ankhiyan
murshid piya ko jo na main dekhun chain na aae pal-bhar moko
dekh ke ja ka sundar mukhDa bhae na mohe kisi ki batiyan
man mandir mein jo hain biraje an-data hai jo hi KHuda hai
jab main kahat hun ye sakhiyon se moko pagal kahat hain sakhiyan
ab abhilasha koi na aasha murshid ki 'kawish' main diwani
sowarg mubarak panDit-ji ko moko pyari piya ki galiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.