qafas mein baiTh kar barq-e-tapan ko yaad karte hain
qafas meñ baiTh kar barq-e-tapāñ ko yaad karte haiñ
bahāreñ luT chukī haiñ ab ḳhizāñ ko yaad karte haiñ
ye jab mā'lūm hai vo dil ke andar jalva-ārā haiñ
ḳhudā mā'lūm ham kyuuñ āstāñ ko yaad karte haiñ
nasheman jal chukā phir bhī chaman se 'ishq hai utnā
ki ham har saañs meñ daur-e-ḳhizāñ ko yaad karte haiñ
'ra.ūf' is 'ālam-e-pīrī meñ ye hai mashġhala apnā
ki ham rah-rah ke apnī dāstāñ ko yaad karte haiñ
qafas mein baiTh kar barq-e-tapan ko yaad karte hain
bahaaren luT chuki hain ab KHizan ko yaad karte hain
ye jab ma'lum hai wo dil ke andar jalwa-ara hain
KHuda ma'lum hum kyun aastan ko yaad karte hain
nasheman jal chuka phir bhi chaman se 'ishq hai utna
ki hum har sans mein daur-e-KHizan ko yaad karte hain
'rauf' is 'alam-e-piri mein ye hai mashghala apna
ki hum rah-rah ke apni dastan ko yaad karte hain
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 128)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.