lo aaj kah raha hun ki jaan-e-bahaar ho
lo aaj kah rahā huuñ ki jān-e-bahār ho
taskīn-e-qalb māya-e-sabr-o-qarār ho
kahne ko to bahut hai magar muḳhtasar ye hai
itnī du'ā qubūl mirī kirdgār ho
gajrā gale meñ hāthoñ meñ mehñdī rachī huī
āñchal sarak sarak ke dikhātā bahār ho
mahshar meñ jab bhī jaa.e 'ra.ūf'-e-balā nasīb
āñkhoñ meñ ashk hāthoñ meñ tasvīr-e-yār ho
lo aaj kah raha hun ki jaan-e-bahaar ho
taskin-e-qalb maya-e-sabr-o-qarar ho
kahne ko to bahut hai magar muKHtasar ye hai
itni du'a qubul meri kirdgar ho
gajra gale mein hathon mein mehndi rachi hui
aanchal sarak sarak ke dikhata bahaar ho
mahshar mein jab bhi jae 'rauf'-e-bala nasib
aankhon mein ashk hathon mein taswir-e-yar ho
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.14 (Pg. 129)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.