mere gham un ko taDpate to aate
mire ġham un ko taḌpāte to aate
vo tanhā.ī se ghabrāte to aate
hai muñh kyā un kā mere paas aa.eñ
kiye par apne pachhtāte to aate
maiñ shīsha huuñ vo mujh se bach rahe haiñ
nazar mujh se milā paate to aate
shikār-e-bad-gumānī haiñ vo shāyad
unheñ ahbāb samjhāte to aate
unheñ hai mujh se milne kī tamannā
pata merā agar paate to aate
yahāñ to mustanad hai har suḳhnavar
'nazar' sāhib agar aate to aate
mere gham un ko taDpate to aate
wo tanhai se ghabraate to aate
hai munh kya un ka mere pas aaen
kiye par apne pachhtate to aate
main shisha hun wo mujh se bach rahe hain
nazar mujh se mila pate to aate
shikar-e-bad-gumani hain wo shayad
unhen ahbab samjhate to aate
unhen hai mujh se milne ki tamanna
pata mera agar pate to aate
yahan to mustanad hai har suKHnawar
'nazar' sahib agar aate to aate
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 256)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.