kyun raaz-dar-e-dil pe bharosa kiya nahin
kyuuñ rāz-dār-e-dil pe bharosā kiyā nahīñ
ā.īna dekhtā hai magar boltā nahīñ
dīvāna mujh ko kahte haiñ ahl-e-ḳhirad magar
dīvāna kyuuñ huā ye koī pūchhtā nahīñ
duniyā kī jab talab thī to duniyā nahīñ milī
ab paañv paḌ rahī hai to meñ pūchhtā nahīñ
ai jurm sach jo pūchho to ye hai pate kī baat
un kā pata milā to ab apnā pata nahīñ
kyun raaz-dar-e-dil pe bharosa kiya nahin
aaina dekhta hai magar bolta nahin
diwana mujh ko kahte hain ahl-e-KHirad magar
diwana kyun hua ye koi puchhta nahin
duniya ki jab talab thi to duniya nahin mili
ab panw paD rahi hai to mein puchhta nahin
ai jurm sach jo puchho to ye hai pate ki baat
un ka pata mila to ab apna pata nahin
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.I (Pg. 124)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.