Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHayalon ke moti luTate chalo

Adeeb Hasan Gayavi

KHayalon ke moti luTate chalo

Adeeb Hasan Gayavi

MORE BYAdeeb Hasan Gayavi

    ḳhayāloñ ke motī luTāte chalo

    zamāne ko apnā banāte chalo

    masā.ib se āñḳheñ milāte chalo

    har ik zarf ko āzmāte chalo

    añdherī haiñ rāheñ to manzil hai duur

    diyā har qadam par jalāte chalo

    pata jin ko apnī ḳhatā nahīñ

    unheñ ā.īna tum dikhāte chalo

    azā.em mash.al liye haath meñ

    na.e rāste tum banāte chalo

    vajūd apnā tum ḳhaak kar do 'adīb'

    jahāñ ko magar jagmagāte chalo

    KHayalon ke moti luTate chalo

    zamane ko apna banate chalo

    masaib se aanKHen milate chalo

    har ek zarf ko aazmate chalo

    andheri hain rahen to manzil hai dur

    diya har qadam par jalate chalo

    pata jin ko apni KHata ka nahin

    unhen aaina tum dikhate chalo

    azaem ki mashal liye hath mein

    nae raste tum banate chalo

    wajud apna tum KHak kar do 'adib'

    jahan ko magar jagmagate chalo

    Source :
    • Book : Sukhanwaraan-e-Watan (Pg. 69)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now