koi apna na koi begana
koī apnā na koī begāna
gardish-e-dil hai aur dīvāna
ḳhuun dil pī rahā huuñ mohtasibo
log piite haiñ jaise paimāna
aadmī kyā hai dard kā paikar
zindagī kyā hai talḳh afsāna
maiñ chalā thā ba-’azm-e-dair-o-haram
mil gayā raah meñ subū-ḳhāna
kyā karūñ sharh dard-o-dāġh 'adīb'
dil ho jaise muhīb-e-vīrāna
koi apna na koi begana
gardish-e-dil hai aur diwana
KHun dil pi raha hun mohtasibo
log pite hain jaise paimana
aadmi kya hai dard ka paikar
zindagi kya hai talKH afsana
main chala tha ba-’azm-e-dair-o-haram
mil gaya rah mein subu-KHana
kya karun sharh dard-o-dagh 'adib'
dil ho jaise muhib-e-virana
- Book : Sukhanwaraan-e-Watan (Pg. 70)
- Author : Riyaz Gayavi
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.