zulf simTi na raat KHatm hui
zulf simTī na raat ḳhatm huī
kash-makash meñ hayāt ḳhatm huī
tum ga.e dil gayā bahār ga.ī
'aish-o-'ishrat kī baat ḳhatm huī
ab to āñkhoñ meñ ashk bhī na rahe
dard kī kā.ināt ḳhatm huī
do ghaḌī kī bahāreñ thiiñ ḳhushiyāñ
rāhat-e-be-sabāt ḳhatm huī
jin se raunaq thī ġham-kada meñ 'adīb'
un sharāroñ kī zaat ḳhatm hoī
zulf simTi na raat KHatm hui
kash-makash mein hayat KHatm hui
tum gae dil gaya bahaar gai
'aish-o-'ishrat ki baat KHatm hui
ab to aankhon mein ashk bhi na rahe
dard ki kainat KHatm hui
do ghaDi ki bahaaren thin KHushiyan
rahat-e-be-sabaat KHatm hui
jin se raunaq thi gham-kada mein 'adib'
un shararon ki zat KHatm hoi
- Book : Sukhanwaraan-e-Watan (Pg. 71)
- Author : Riyaz Gayavi
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.