aae na harf zabt pe pir-e-mughan kahin
aa.e na harf zabt pe pīr-e-muġhāñ kahīñ
ban jaa.eñ ḳhud savāl na añgḌā.iyāñ kahīñ
kartī haiñ sajda jo ruḳh-e-jānāñ ko dekh kar
jhuktī haiñ sañg-e-dar pe peshāniyāñ kahīñ
ahl-e-ḳhirad surāġh lagāte hī rah ga.e
ahl-e-junūñ kī mil na sakīñ dhajjiyāñ kahīñ
be-rabta.ī sujūd kā andāz dekh kar
badlā na le jabīñ se tirā āstāñ kahīñ
bālīñ pe aa ke maut bhī aksar palaT ga.ī
duniyā meñ hoñge ham se na ab saḳht-jāñ kahīñ
'afqar' milegī hashr meñ sabr-o-razā kī daad
lekin malegā ab na mirā āshiyāñ kahīñ
aae na harf zabt pe pir-e-mughan kahin
ban jaen KHud sawal na angDaiyan kahin
karti hain sajda jo ruKH-e-jaanan ko dekh kar
jhukti hain sang-e-dar pe peshaniyan kahin
ahl-e-KHirad suragh lagate hi rah gae
ahl-e-junun ki mil na sakin dhajjiyan kahin
be-rabtai sujud ka andaz dekh kar
badla na le jabin se tera aastan kahin
baalin pe aa ke maut bhi aksar palaT gai
duniya mein honge hum se na ab saKHt-jaan kahin
'afqar' milegi hashr mein sabr-o-raza ki dad
lekin malega ab na mera aashiyan kahin
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.V (Pg. 47)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.