dil kisi kafir ke pale paD gaya
dil kisī kāfir ke paale paḌ gayā
dekhte hī hosh ik dam uḌ gayā
bhūlā bhaTkā aa rahā thā is taraf
ghar sharābī dekh kar vo muḌ gayā
khel laḌkoñ kā nahīñ ai ‘āshiqo
daar par kah kar anal-haq chaḌh gayā
ma.arifat kī raah meñ yaar unheñ
ab tasavvur kā bhī TaTTū uḌ gayā
past himmat kar diyā hai 'sahv' ko
chhoḌ kar rah meñ akelā paḌ gayā
dil kisi kafir ke pale paD gaya
dekhte hi hosh ek dam uD gaya
bhula bhaTka aa raha tha is taraf
ghar sharabi dekh kar wo muD gaya
khel laDkon ka nahin ai ‘ashiqo
dar par kah kar anal-haq chaDh gaya
marifat ki rah mein yar unhen
ab tasawwur ka bhi TaTTu uD gaya
past himmat kar diya hai 'sahw' ko
chhoD kar rah mein akela paD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.