pata nahin baghal mein dil-e-dilbar-e-ma kuja ba-raft
pata nahin baghal mein dil-e-dilbar-e-ma kuja ba-raft
Agha Muhammad Daud
MORE BYAgha Muhammad Daud
paatā nahīñ baġhal meñ dil-e-dilbar-e-mā kujā ba-raft
kah do koī tabīb se jān-e-azīz-e-mā ba-raft
bhuul gayā ḳhushī se maiñ hifz-e-marātib-o-adab
aa jo gayā vo sāmne az tā-dil-e-duā ba-raft
kyuuñ hai Darātā nāsehā niist ’adū-e-mā kise
marne ke aage mar gayā barsar-e-mā qazā ba-raft
sharm-o-hayā nahīñ mujhe kHāna-ba-kHāna mī-ravam
'āshiq-e-be-nasīb huuñ bardare-ū gadā ba-raft
paatā nahīñ maiñ aap ko andar ḳhvesh gum-shuda
‘sahv’ kahāñ chalā gayā mahram-e-rāz-e-mā ba-raft
pata nahin baghal mein dil-e-dilbar-e-ma kuja ba-raft
kah do koi tabib se jaan-e-aziz-e-ma ba-raft
bhul gaya KHushi se main hifz-e-maraatib-o-adab
aa jo gaya wo samne az ta-dil-e-dua ba-raft
kyun hai Daraata naseha nist ’adu-e-ma kise
marne ke aage mar gaya barsar-e-ma qaza ba-raft
sharm-o-haya nahin mujhe kHana-ba-kHana mi-rawam
'ashiq-e-be-nasib hun bardare-u gada ba-raft
pata nahin main aap ko andar KHwesh gum-shuda
‘sahw’ kahan chala gaya mahram-e-raaz-e-ma ba-raft
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.