jab se jaanan tujhse ulfat hai mujhe
jab se jānāñ tujh se ulfat hai mujhe
apnī sūrat se bhī nafrat hai mujhe
hai yahī zāhid mirā roza namāz
dekhnā us kā 'ibādat hai mujhe
ai but-e-maġhrūr kyā parvā tujhe
yaañ har ik lahza qiyāmat hai mujhe
vasl-e-jānāñ jab na hue jiite jī
phir mirā jiinā nadāmat hai mujhe
kuchh na pūchho haal vasl-e-dil-rubā
kyā kahūñ ai 'sahv' hairat hai mujhe
jab se jaanan tujh se ulfat hai mujhe
apni surat se bhi nafrat hai mujhe
hai yahi zahid mera roza namaz
dekhna us ka 'ibaadat hai mujhe
ai but-e-maghrur kya parwa tujhe
yan har ek lahza qiyamat hai mujhe
wasl-e-jaanan jab na hue jite ji
phir mera jina nadamat hai mujhe
kuchh na puchho haal wasl-e-dil-ruba
kya kahun ai 'sahw' hairat hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.