hain bahara-yab baiat-e-pir-e-mughan se hum
haiñ bahara-yāb bai.at-e-pīr-e-muġhāñ se ham
āzād haiñ nasheb-o-farāz jahñ se ham
saarā jahāñ ḳhilāf hai ham se jahāñ se ham
duniyā na.ī basā.eñge jā kar yañh se ham
kHum-kHāna-e-alast se pī kar fanā kā jaam
āzād ho chuke haiñ ġham-e-jāvedāñ se ham
ahmad hai kis ḳhatā pe hameñ hukm-e-ḳhāmushī
kahne bhī to na paa.e kuchh apnī zabāñ se ham
hain bahara-yab baiat-e-pir-e-mughan se hum
aazad hain nasheb-o-faraaz jahn se hum
sara jahan KHilaf hai hum se jahan se hum
duniya nai basaenge ja kar yanh se hum
kHum-kHana-e-alast se pi kar fana ka jam
aazad ho chuke hain gham-e-jawedan se hum
ahmad hai kis KHata pe hamein hukm-e-KHamushi
kahne bhi to na pae kuchh apni zaban se hum
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.IX (Pg. 25)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.