roke thamta nahin wo sham-e-shabistan hun main
roke thamtā nahīñ vo sham'-e-shabistāñ huuñ maiñ
jal ke bujhtā nahīñ vo sarv-e-charāġhāñ huuñ maiñ
har ta'ayyun meñ tanazzul kī paḌī muñh pe naqāb
saat pardoñ meñ chhapā huuñ 'ajab insāñ huuñ maiñ
maiñ jo kahtā huuñ mujhe sab se hai īmāñ pyārā
vo ye kahte haiñ ki ġhārat gar-e-īmāñ huuñ maiñ
kisī sūrat kisī 'ālam meñ nahīñ dil-jam'ī
kyā tirī zulf huuñ itnā jo pareshāñ huuñ maiñ
kabhī parvāna kabhī bazm kabhī bazm-nashīñ
kabhī fānūs kabhī sham'-e-shabistāñ huuñ maiñ
apne ghar meñ jo pahuñch jā.ūñ to dil-jam'ī ho
haf-iqlīm meñ phirtā huuñ pareshāñ huuñ maiñ
hai faqat dost-parastī mirā maz.hab 'mā.il'
sach to ye hai ki na kāfir na musalmāñ huuñ maiñ
roke thamta nahin wo sham'-e-shabistan hun main
jal ke bujhta nahin wo sarw-e-charaghan hun main
har ta'ayyun mein tanazzul ki paDi munh pe naqab
sat pardon mein chhapa hun 'ajab insan hun main
main jo kahta hun mujhe sab se hai iman pyara
wo ye kahte hain ki ghaarat gar-e-iman hun main
kisi surat kisi 'alam mein nahin dil-jam'i
kya teri zulf hun itna jo pareshan hun main
kabhi parwana kabhi bazm kabhi bazm-nashin
kabhi fanus kabhi sham'-e-shabistan hun main
apne ghar mein jo pahunch jaun to dil-jam'i ho
haf-iqlim mein phirta hun pareshan hun main
hai faqat dost-parasti mera mazhab 'mail'
sach to ye hai ki na kafir na musalman hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.