ejaz hai ye teri pareshan-nazari ka
e'jāz hai ye terī pareshāñ-nazarī kā
ilzām na dhar 'ishq pe shorīda-sarī kā
ye soch meñ khoī huī afsurda javānī
shāyad hai nayā rañg tirī jalva-garī kā
us vaqt mire kalba-e-ġham meñ tirā aanā
bhaTkā huā jhoñkā hai nasīm-e-saharī kā
tujh se tire kūche kā pata pūchh rahā huuñ
is vaqt ye 'ālam hai mirī be-ḳhabarī kā
ye farsh tire raqs se jo guuñj uThā hai
hai 'arsh-e-mua'allā mirī 'ālī-nazarī kā
kohre meñ taḌapte hue ai sub.h ke taare
ehsān hai shā'ir pe tirī chāra-garī kā
e'jaz hai ye teri pareshan-nazari ka
ilzam na dhar 'ishq pe shorida-sari ka
ye soch mein khoi hui afsurda jawani
shayad hai naya rang teri jalwa-gari ka
us waqt mere kalba-e-gham mein tera aana
bhaTka hua jhonka hai nasim-e-sahari ka
tujh se tere kuche ka pata puchh raha hun
is waqt ye 'alam hai meri be-KHabari ka
ye farsh tere raqs se jo gunj uTha hai
hai 'arsh-e-mua'alla meri 'ali-nazari ka
kohre mein taDapte hue ai subh ke tare
ehsan hai sha'ir pe teri chaara-gari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.