dil mein utarte harf se mujh ka mila pata tera
dil meñ utarte harf se mujh kā milā patā tirā
mo’jaza-e-husn-e-saut kā zamzama-e-sadā tirā
merā kalām-e-fan tire husn-e-kalām kā ġhulām
baat thī jāñ-fizā tirī lahja thā dil-rubā tirā
jaañ tirī sar-ba-sar jamāl dil tirā ā.īna misāl
tujh ko tire 'adū ne bhī dekhā to ho gayā tirā
ai mire shāh-e-sharq-o-ġharb nān-e-javīñ ġhizā tirī
ai mire boriyā-nashīñ saarā jahāñ gadā tirā
sañg-zanoñ meñ ghir ke bhī tū ne unheñ du'ā hī dī
dasht-e-balā se bārhā guzrā hai qāfila tirā
koī nahīñ tirī nazīr roz-e-azal se aaj tak
tā-ba-abad nahīñ masīl koī tire sivā tirā
yuuñ to tirī rasā.iyāñ farsh se 'arsh tak muhīt
maiñ ne to apne dil meñ bhī paayā hai naqsh-e-pā tirā
merā to kā.ināt meñ tere sivā koī nahīñ
arz tirī samā tire bande tire ḳhudā tirā
aate hue dinoñ se bhī mujh ko koī ḳhatar nahīñ
māzī-o-hāl meñ bhī jab puurā huā kahā tirā
duur sahī dayār-e-nūr chuur sahī mirā su'ūr
tū mirā hausla to dekh maiñ bhī huuñ mubtalā tirā
dil mein utarte harf se mujh ka mila pata tera
mo’jaza-e-husn-e-saut ka zamzama-e-sada tera
mera kalam-e-fan tere husn-e-kalam ka ghulam
baat thi jaan-fiza teri lahja tha dil-ruba tera
jaan teri sar-ba-sar jamal dil tera aaina misal
tujh ko tere 'adu ne bhi dekha to ho gaya tera
ai mere shah-e-sharq-o-gharb nan-e-jawin ghiza teri
ai mere boriya-nashin sara jahan gada tera
sang-zanon mein ghir ke bhi tu ne unhen du'a hi di
dasht-e-bala se barha guzra hai qafila tera
koi nahin teri nazir roz-e-azal se aaj tak
ta-ba-abad nahin masil koi tere siwa tera
yun to teri rasaiyan farsh se 'arsh tak muhit
main ne to apne dil mein bhi paya hai naqsh-e-pa tera
mera to kainat mein tere siwa koi nahin
arz teri sama tere bande tere KHuda tera
aate hue dinon se bhi mujh ko koi KHatar nahin
mazi-o-haal mein bhi jab pura hua kaha tera
dur sahi dayar-e-nur chur sahi mera su'ur
tu mera hausla to dekh main bhi hun mubtala tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.