ai mah-e-kHush-ru kah de ab jo baat hai
ai māh-e-kHush-rū kah de ab jo baat hai
ki paimāna-e-tajassus-e-man muntazir-e-ba-iltifāt hai
terā husn be-intihā merā qalam be-sāḳhta
khīñchnā naqsha tirā kyā ruuh kī nishāt hai
tāj-e-ḳhirman se muqarrar dastūr-e-anjum-gīrī tirī
raushan tire ruḳhsār se sarā-e-be-sabāt hai
hañgām-e-jahāñ se dauḌ kar DhūñDeñ kHalvat-nashīñ tujhe
ki terī mahfil meñ 'ayāñ raqs-o-surūd-e-kā.ināt hai
'ishq kāmil hai tirā 'aks hai tū yaar kā
poshīda ā.īne meñ tire raaz 'ain-e-hayāt hai
siikh le 'ahmad' miTānā ḳhud kā 'aks mahtāb se
ki ġharq honā yaar meñ zuhūr-e-tajallī-e-zāt hai
ai mah-e-kHush-ru kah de ab jo baat hai
ki paimana-e-tajassus-e-man muntazir-e-ba-iltifat hai
tera husn be-intiha mera qalam be-saKHta
khinchna naqsha tera kya ruh ki nishat hai
taj-e-KHirman se muqarrar dastur-e-anjum-giri teri
raushan tere ruKHsar se sara-e-be-sabaat hai
hangam-e-jahan se dauD kar DhunDen kHalwat-nashin tujhe
ki teri mahfil mein 'ayan raqs-o-surud-e-kainat hai
'ishq kaamil hai tera 'aks hai tu yar ka
poshida aaine mein tere raaz 'ain-e-hayat hai
sikh le 'ahmad' miTana KHud ka 'aks mahtab se
ki gharq hona yar mein zuhur-e-tajalli-e-zat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.