ai dil kahin na jaiyo zinhaar dekhna
ai dil kahin na jaiyo zinhaar dekhna
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
ai dil kahīñ na jā.iyo zinhār dekhnā
apne hī beach yaar kā dīdār dekhnā
ḳhūbān-e-is-jahāñ kā tamāsha jo tū kare
ā.īna-dār tal'at-e-dildār dekhnā
nairañgiyoñ se yaar kī hairāñ na hojiyo
har rañg meñ usī ko numūdār dekhnā
ai dil qimār-e-ishq meñ Tuk khelyo sambhal
baazī na diijo haar mere yaar dekhnā
gar naqd-e-jāñ talab kare vo shoḳh dilrubā
inkār vaañ na kījiyo zinhār dekhnā
hargiz davā na kījiyo is ġham kī ai 'niyāz'
sab rāhatoñ se ġham ko maze-dār dekhnā
ai dil kahin na jaiyo zinhaar dekhna
apne hi beach yar ka didar dekhna
KHuban-e-is-jahan ka tamasha jo tu kare
aaina-dar tal'at-e-dildar dekhna
nairangiyon se yar ki hairan na hojiyo
har rang mein usi ko numudar dekhna
ai dil qimar-e-ishq mein Tuk khelyo sambhal
bazi na dijo haar mere yar dekhna
gar naqd-e-jaan talab kare wo shoKH dilruba
inkar wan na kijiyo zinhaar dekhna
hargiz dawa na kijiyo is gham ki ai 'niyaz'
sab rahaton se gham ko maze-dar dekhna
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 133)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.