Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ai junun phir mere sar par wahi shamat aai

Aasi Ghazipuri

ai junun phir mere sar par wahi shamat aai

Aasi Ghazipuri

MORE BYAasi Ghazipuri

    ai junūñ phir mire sar par vahī shāmat aa.ī

    phir phañsā zulfoñ meñ dil phir vahī aafat aa.ī

    mar ke bhī jazb-e-dil-e-qais meñ tāsīr ye thī

    ḳhaak uḌātī huī lailā sar-e-turbat aa.ī

    masjideñ shahr ai pīr-e-muġhāñ ḳhālī haiñ

    mai-kade meñ to jamā.at jamā.at aa.ī

    vo hai khiḌkī meñ udhar bhiiḌ nazar-bāzoñ

    aaj us kūche meñ sunte haiñ qayāmat aa.ī

    kabhī jī-bhar ke vatan meñ na rahe ham 'āsī'

    roz-e-mīlād se taqdīr meñ ġhurbat aa.ī

    ai junun phir mere sar par wahi shamat aai

    phir phansa zulfon mein dil phir wahi aafat aai

    mar ke bhi jazb-e-dil-e-qais mein tasir ye thi

    KHak uDati hui laila sar-e-turbat aai

    masjiden shahr ki ai pir-e-mughan KHali hain

    mai-kade mein to jamaat ki jamaat aai

    wo hai khiDki mein udhar bhiD nazar-bazon ki

    aaj us kuche mein sunte hain qayamat aai

    kabhi ji-bhar ke watan mein na rahe hum 'asi'

    roz-e-milad se taqdir mein ghurbat aai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now