ai KHanqah-e-nizam-o-KHusrau
ai ḳhānqah-e-'nizām'-o-'ḳhusrau'
phir se hai lagī huī terī lau
dahlīz-e-azīz chūmne ko
kartā hai hamesha dil tag-o-dau
lagte haiñ ye mehr-o-māh-o-anjum
dehlī ke charāġh hī kā partav
jitnī bhī haiñ kahkashā.eñ saarī
haiñ tere nuqūsh-e-pā kī pairav
ye ḳhirqa-e-ishq bhī ajab hai
jis meñ nahīñ koī kuhn-o-nau
ai KHanqah-e-'nizam'-o-'KHusrau'
phir se hai lagi hui teri lau
dahliz-e-aziz chumne ko
karta hai hamesha dil tag-o-dau
lagte hain ye mehr-o-mah-o-anjum
dehli ke charagh hi ka partaw
jitni bhi hain kahkashaen sari
hain tere nuqush-e-pa ki pairaw
ye KHirqa-e-ishq bhi ajab hai
jis mein nahin koi kuhn-o-nau
- Book : Ghaib ka Sitara (Pg. 57)
- Author : Mueen Nizami
- Publication : Anybook, Noida (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.