ai zabt dekh ishq kī un ko ḳhabar na ho
ai zabt dekh ishq kī un ko ḳhabar na ho
dil meñ hazār dard uThe aañkh tar na ho
muddat meñ shām-e-vasl huī hai mujhe nasīb
do-chār saal tak to ilāhī sahar na ho
ik phuul hai gulāb kā aaj un ke haath meñ
dhaḌkā mujhe ye hai ki kisī kā jigar na ho
DhūñDe se bhī na ma.ani-e-bārīk jab milā
dhokā huā ye mujh ko ki us kī kamar na ho
ulfat kī kyā ummīd vo aisā hai bevafā
sohbat hazār saal rahe kuchh asar na ho
tūl-e-shab-e-visāl ho misl-e-shab-e-firāq
nikle na āftāb ilāhī sahar na ho
ai zabt dekh ishq kī un ko ḳhabar na ho
dil meñ hazār dard uThe aañkh tar na ho
muddat meñ shām-e-wasl huī hai mujhe nasīb
do-chār sal tak to ilāhī sahar na ho
ek phul hai gulāb kā aaj un ke hath meñ
dhaḌkā mujhe ye hai ki kisī kā jigar na ho
DhūñDe se bhī na mani-e-bārīk jab milā
dhokā huā ye mujh ko ki us kī kamar na ho
ulfat kī kyā ummīd wo aisā hai bewafā
sohbat hazār sal rahe kuchh asar na ho
tūl-e-shab-e-wisāl ho misl-e-shab-e-firāq
nikle na āftāb ilāhī sahar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.