aisī kyā baat sar-e-shām nibhānī hogī
aisī kyā baat sar-e-shām nibhānī hogī
dāstāñ ġham kī bhī hañs hañs ke sunānī hogī
jo haqīqat mire armānoñ kā unvān rahī
ahl-e-duniyā ke liye sirf kahānī hogī
yuuñ to har dil hai mohabbat kā tamannā.ī yahāñ
phir bhī kyoñ dil se mohabbat hī bhulānī hogī
ġham ubhar aa.egā chehre pe mire ban ke dhuāñ
terī āñkhoñ ko yahī baat chhupānī hogī
maiñ 'ḳhalish' huuñ to mirā phūloñ se rishta kyā hai
phir bhī duniyā mujhe phūloñ se sajānī hogī
aisī kyā baat sar-e-shām nibhānī hogī
dāstāñ ġham kī bhī hañs hañs ke sunānī hogī
jo haqīqat mere armānoñ kā unwān rahī
ahl-e-duniyā ke liye sirf kahānī hogī
yuñ to har dil hai mohabbat kā tamannāī yahāñ
phir bhī kyoñ dil se mohabbat hī bhulānī hogī
ġham ubhar aaegā chehre pe mere ban ke dhuāñ
terī āñkhoñ ko yahī baat chhupānī hogī
maiñ 'ḳhalish' huñ to mirā phūloñ se rishta kyā hai
phir bhī duniyā mujhe phūloñ se sajānī hogī
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.