ajab eajaz hai teri nazar ka
ajab e.ajāz hai terī nazar kā
ke ham bhūle haiñ rasta apne ghar kā
sahar aa.ī to yaad aa.e vo taare
pata jin se milā ham ko sahar kā
chale ho chhoḌ kar pahle qadam par
chale the saath dene umr-bhar kā
bahāreñ aa ga.iiñ jab aap aa.e
duāoñ ne bhī muñh dekhā asar kā
haqīqat kyā fareb-e-āgahī hai
nazar bhī ek dhokā hai nazar kā
adam se bhī pare thī apnī manzil
safar anjām thā apne safar kā
mirī āñkheñ huiiñ namnāk 'vāsif'
ḳhayāl aayā kisī kī chashm-e-tar kā
ajab eajaz hai teri nazar ka
ke hum bhule hain rasta apne ghar ka
sahar aai to yaad aae wo tare
pata jin se mila hum ko sahar ka
chale ho chhoD kar pahle qadam par
chale the sath dene umr-bhar ka
bahaaren aa gain jab aap aae
duaon ne bhi munh dekha asar ka
haqiqat kya fareb-e-agahi hai
nazar bhi ek dhoka hai nazar ka
adam se bhi pare thi apnī manzil
safar anjam tha apne safar ka
meri aankhen huin namnak 'wasif'
KHayal aaya kisi ki chashm-e-tar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.