Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ajib manzar-e-bālā-e-bām hotā hai

Pir Naseeruddin Naseer

ajib manzar-e-bālā-e-bām hotā hai

Pir Naseeruddin Naseer

ajiib manzar-e-bālā-e-bām hotā hai

jab āshkār vo māh-e-tamām hotā hai

hirās-e-shab, asar-e-zo.af, ḳhauf-e-rāhzanāñ

musāfiroñ pe girāñ vaqt-e-shām hotā hai

bas ik nigāh pe hai dil faisla mauqūf

bas ik nigāh meñ qissa tamām hotā hai

jab apne ghar pe bulātā huuñ maiñ kabhī un ko

unheñ zarūr koī ḳhaas kaam hotā hai

javāb de nahīñ saktī zabān-e-shauq mirī

kuchh is adā se koī ham-kalām hotā hai

rah-e-junūñ meñ lipaTte haiñ paañv se kāñTe

ba-har qadam ye mirā ehtirām hotā hai

nazar nazar pe sar-e-bazm hai nazar un

nazar nazar meñ salām-o-payām hotā hai

'nasīr' ahl-e-vafā ke baḌe marātib haiñ

bahut buland vafā maqām hotā hai

ajib manzar-e-bālā-e-bām hotā hai

jab āshkār wo māh-e-tamām hotā hai

hirās-e-shab, asar-e-zoaf, ḳhauf-e-rāhzanāñ

musāfiroñ pe girāñ waqt-e-shām hotā hai

bas ek nigāh pe hai dil faisla mauqūf

bas ek nigāh meñ qissa tamām hotā hai

jab apne ghar pe bulātā huñ maiñ kabhī un ko

unheñ zarūr koī ḳhas kaam hotā hai

jawāb de nahīñ saktī zabān-e-shauq mirī

kuchh is adā se koī ham-kalām hotā hai

rah-e-junūñ meñ lipaTte haiñ pañw se kāñTe

ba-har qadam ye mirā ehtirām hotā hai

nazar nazar pe sar-e-bazm hai nazar un

nazar nazar meñ salām-o-payām hotā hai

'nasīr' ahl-e-wafā ke baḌe marātib haiñ

bahut buland wafā maqām hotā hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now