junun ne fasla rakha na koi ishq-o-irfan mein
junūñ ne fāsla rakhā na koī ishq-o-irfāñ meñ
garebāñ ke evaz ab haath ulajhtā hai garebāñ meñ
kahāñ kā hosh kaisī āgahī is bazm-e-imkāñ meñ
magar ik nīm-bedārī sī hai ḳhvāb-e-pareshāñ meñ
ye bijlī hai ki raqs jalva-e-gul ḳhair hai hamdam
qafas meñ huuñ magar merā nasheman hai gulistāñ meñ
junun ne fasla rakha na koi ishq-o-irfan mein
gareban ke ewaz ab hath ulajhta hai gareban mein
kahan ka hosh kaisi aagahi is bazm-e-imkan mein
magar ek nim-bedari si hai KHwab-e-pareshan mein
ye bijli hai ki raqs jalwa-e-gul KHair hai hamdam
qafas mein hun magar mera nasheman hai gulistan mein
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 25)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.