uski talash hai mujhe rah-guzar-e-majaz mein
us kī talāsh hai mujhe rah-guzar-e-majāz meñ
husn bhī ik hijāb hai jis ke harīm-e-nāz meñ
aql hai phir harīf-e-ishq ab ye naqāb ulaT na de
parda uThā ke aa na jaao a.alam-e-imtiyāz meñ
mutrib-e-ḳhush-navā mujhe nashtar-e-tez chāhiye
ye to nava-e-dard hai naġhma kahāñ hai saaz meñ
us ki talash hai mujhe rah-guzar-e-majaz mein
husn bhi ek hijab hai jis ke harim-e-naz mein
aql hai phir harif-e-ishq ab ye naqab ulaT na de
parda uTha ke aa na jao aalam-e-imtiyaz mein
mutrib-e-KHush-nawa mujhe nashtar-e-tez chahiye
ye to nawa-e-dard hai naghma kahan hai saz mein
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 25)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.