zindagi kya hai jo dil ho tishna-e-zauq-e-fana
zindagī kyā hai jo dil ho tishna-e-zauq-e-fanā
ya.anī ye parda to uTh saktā hai āsānī ke saath
guftugū-e-sūrat-o-mānī hai unvān-e-hayāt
khelte haiñ vo mirī fitrat kī hairānī ke saath
ham ne har zarra meñ barpā kar diyā tūfān-e-shauq
ik tabassum is qadar jalvoñ kī tuġhyānī ke saath
dil kī ābādī hai 'aḳhtar' dil kī barbādī kā naam
ik ta.alluq hai mirī hastī ko vīrānī ke saath
zindagi kya hai jo dil ho tishna-e-zauq-e-fana
yani ye parda to uTh sakta hai aasani ke sath
guftugu-e-surat-o-mani hai unwan-e-hayat
khelte hain wo meri fitrat ki hairani ke sath
hum ne har zarra mein barpa kar diya tufan-e-shauq
ek tabassum is qadar jalwon ki tughyani ke sath
dil ki aabaadi hai 'aKHtar' dil ki barbaadi ka nam
ek talluq hai meri hasti ko virani ke sath
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 26)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.