ek basit-e-ehsas ek shauq-e-numayan chahiye
ik basīt-e-ehsās ik shauq-e-numāyāñ chāhiye
ishq kī nabzoñ meñ raqs mauj-e-tūfāñ chāhiye
ik na.ī hastī na.ī ta.amīr-e-daurāñ chāhiye
meñ tire qurbān phir tajdīd-e-paimāñ chāhiye
maut ke asrār se ai ishq ulaT de ab naqāb
manzar-e-hastī kā ye ruḳh bhī numāyāñ chāhiye
ek basit-e-ehsas ek shauq-e-numayan chahiye
ishq ki nabzon mein raqs mauj-e-tufan chahiye
ek nai hasti nai tamir-e-dauran chahiye
mein tere qurban phir tajdid-e-paiman chahiye
maut ke asrar se ai ishq ulaT de ab naqab
manzar-e-hasti ka ye ruKH bhi numayan chahiye
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 26)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.