Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

az dair-e-mughan aaya mai-e-gardish-e-sahba mast

Akif Hussain Shahwali

az dair-e-mughan aaya mai-e-gardish-e-sahba mast

Akif Hussain Shahwali

MORE BYAkif Hussain Shahwali

    az dair-e-muġhāñ aayā mai-e-gardish-e-sahbā mast

    dar bazm-e-fanā dekhā har zarra tamāshā mast

    jo sar na jhuke dar par vo ahl-e-vafā kaisā

    jo hijr meñ jaltā ho vo sho'la-e-fardā mast

    hai gardish-e-sāġhar meñ sad-rañg haqīqat bhī

    har riñd-e-haram dekhā har zāhid-e-dānā mast

    har zarra huā raqsāñ har mauj thī kohsārā

    ik banda thā ‘arshoñ par dariyā thā jo dariyā mast

    mai-kHāna-o-mehrābāñ sab harqa-e-hastī haiñ

    kā'ba bhī sar-e-mai hai derīna kalīsā mast

    har gosha-e-hastī meñ sad-rañg mahfil hai

    har sāz-e-azal naġhma har lahn masīhā mast

    jo jām-e-azal le phir us ko ḳhabar kyā ho

    dīvār bhī raqsāñ hai zanjīr bhī rusvā mast

    jab 'ishq sadā degā sab qaid se chhūTeñge

    har qaid dar hai har ruuh saudā mast

    ḳhurshīd bhī hairāñ hai mahtāb bhī hairāñ hai

    ik chashm-e-tajallī meñ har zarra sahīfa mast

    ‘naushā’ tirī mahfil meñ har ruuh tamāshā mast

    har ashk hai dariyā mast har saañs hai shaidā mast

    az dair-e-mughan aaya mai-e-gardish-e-sahba mast

    dar bazm-e-fana dekha har zarra tamasha mast

    jo sar na jhuke dar par wo ahl-e-wafa kaisa

    jo hijr mein jalta ho wo sho'la-e-farda mast

    hai gardish-e-saghar mein sad-rang haqiqat bhi

    har rind-e-haram dekha har zahid-e-dana mast

    har zarra hua raqsan har mauj thi kohsara

    ek banda tha ‘arshon par dariya tha jo dariya mast

    mai-kHana-o-mehraban sab harqa-e-hasti hain

    ka'ba bhi sar-e-mai hai derina kalisa mast

    har gosha-e-hasti mein sad-rang ki mahfil hai

    har saz-e-azal naghma har lahn masiha mast

    jo jam-e-azal pi le phir us ko KHabar kya ho

    diwar bhi raqsan hai zanjir bhi ruswa mast

    jab 'ishq sada dega sab qaid se chhuTenge

    har qaid ka dar wa hai har ruh ka sauda mast

    KHurshid bhi hairan hai mahtab bhi hairan hai

    ek chashm-e-tajalli mein har zarra sahifa mast

    ‘nausha’ teri mahfil mein har ruh tamasha mast

    har ashk hai dariya mast har sans hai shaida mast

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now